.
Pramod ek 23-24 saal ka jawan aur khubsurat ladka tha.
5.10ft, 32waist, 68kgs, gehua rang, jyada mascular body nahi fir bhi kafi handsome type ka ladka.
3 saal pehle mumbai aaya tha.
Law ki exam dete dete hi wo yaha, Advocate Sandip Sahani ki office mein, uske assistant ki naukari karne laga tha.
.
Just like many other young guys..
usey bhi ek shauk tha -porns dekhte dekhte muth marne ka..
apne ghar par toh uska apna koi PC ya laptop tha nahi toh, office me chori-chhupe, aksar wo ye maza le leta tha.
.
Kal bhi wo office me akela tha,
to usne apne PC me gay porns ki websites kholi
aur muth maarne laga.
Par bich mein hi bijli chali gayi.
Apna 'kaam' karke wo ghar chala gaya.
.
Magar..
Ghar pahuchte hi achanak usey yaad aaya, ke PC me, usne apni browsing history to delete ki hi nahi.....
.
Aam taur pe woh dhyaan rakh ke yeh kaam kar leta tha.
Par current jaane ki wajah ab ki baar woh yeh nahi kar paya tha.
Phir usne socha, ke telephone operator Maria ka to apna alag PC hai, isliye wo to ye PC nahi kholegi.
Ratan kabhi kabhi, card-games khelne ke liye uska PC kholta hai, magr woh to leave le kar gaon gaya hai. Ratan unki office ka peon ladka tha, yehi koi 18-19 saal ka.
Baaki rahe Sandip sir, to unka to apna laptop hai. So nothing much to worry.
But still yaar..
one has to play safe !
lekin ab kya ho sakta hai ?
Kal subah pehla kaam wohi karna padega.
Yehi sochte sochte wo so gaya.
.
.
Subah subah uske cell-fon ki BEEP BEEP se uski neend khul gayi.
Dekha to uus par reminder blink ho raha tha -SANDEEP SIR'S BIRTHDAY.
Oh.. Sir ke liye gift bhi kharidna hai -usey yaad aaya.
Pichhle teen saalo se har birthday par, wo unhe kuch na kuch gift deta tha.
Woh jaldi jaldi taiyaar ho gaya
aur gift shop me ja ke gift dhundne laga.
Tabhi uska cell baj utha.
.
Saamne Maria thi.
'Hello, Pramod..'
'Yes Ma'am..'
'arey, Ratan aaj bhi gaaon se nahi aaya lagta. He was to resume the office today.'
'so..?'
'so..Ludhiana waali party ki office se document collect kar ke before lunch usey court mein submit karna hai..'
' you mean, I shud do it..?'
'yeah, aur koi toh hai nahi na office mein..'
'but..I have some work at office..'
'u better speak to Sir..mera toh kaam tha tumhe intimate karna ke Ratan office nahi aaya hai. Ab tum jaano aur Sandip Sir jaane.'
'ahmm.. ok. leave it..I'll talk to him later'
.
Pramod ko koi bahana yaad nahi aa rha tha, jis'sey woh office mein jaldi ja sakey
Aakhir haar kar usey court mein jaane ka decide kar liya.
As a very next assistant to an Advocate usey malum tha ke yeh documents aaj submit karna kitna jaruri tha.
.
Usney jaldi jaldi uusi shop se, apne boss ke liye birthday-gift le li, jahaan khada ho kar woh Maria se baat kar raha tha.
Fir woh Ludhiana waali party ke paas gaya..
Documents collect kiye,
fir wahan se town mein court ko gaya,
aur wahi unhey submit kar diye.
.
.
Iisi dauraan teen ghante guzar gaye..
Kaam pura ho gaya hai, ye batane usne office me fon kiya
to Maria se pata chala ke Sandeep Sir usi ke, Pramod ke PC par hi kuch kaam kar rahe hai..
suunkar Pramod ki hawa tight ho gayi.
Agar by any chance, Sir ne kal ki browsing history khol li to..!
uska toh bhaanda hi fuut jayega...
Oh Shit..!
********
Sandip ka kal ka din pura court mein busy-busy gaya tha.
Toh aaj woh thoda derr se aaya, office mein
waise bhi aaj uska birthday tha.
Toh thoda relaxed mood mein tha.
Office pahuchte pahuchte karban ek baj gaya.
Office aaya toh pata chal ke Pramod to Ludhiyana wali party se document lekar usey submit karne court me janewala tha.
This time, Sandip ne apne birthday ke mauke par, apni personal life ko jyada importance dena jaruri samja tha
aur issi liye, agley din hi usney soch liya tha, ke abki baar, woh apni biwi Suman ko, Hotel Gaylord me treat dega.
.
Apne clients ke saath, teen char baar woh gaya tha, uus hotel mein.
to wahaan ke food aur service se kafi impressed hua tha.
.
'Maria, please give me the telephone number of Hotel Gaylord' -usne office mein ghuste hi Maria se inter-com par baat ki.
'Sir, mere paas toh nahi hai, sir.'
'arey, uska visiting card hoga kahi office mein..I had been there at least 3 to 4 times. And I remember, maine unse card liya tha.'
'U may be right sir, magar shaayad Pramod ke paas ho, toh pata nahi. At least I don't have it, sir'
'Ok leave it..I'll chek it out from their web-site. You carry on with your regular work.'
'ok sir'.
.
.
Sandip ne apna laptop dundna chaha
magar kahi nazar nahi aata tha.
Fir yaad aaya, ke aglye din, usne hi office me fon kar ke pramod ko kaha tha, ke wo apna lptp office me table pe chhor aaye hai, to usey samhaal ke cupboard me rakh de. .
Toh shayad Pramod ne kal cupboard me rakh diya hai.
Magr cupboard ki keys.. ?
"stupid.., keys bhi apne saath hi le kar ghum raha hai. " Sandip se socha.
.
Do-chaar chhote motey jaruri calls karke, kuch der mein woh apni cabin se bahar aaya.
Maria apne PC pe kuch letters draft kar rahi thi.
Pramod ka PC khali tha. Toh usney Pramod ka PC chalu kiya.
.
.
Web-browser mein ja kar, usne address bar me GAYLORD type karna shuru kiya.
magar jab tak usney 'GAY' type kiya..
tab tak toh browser ke AUTOCOMPLETE FEATURE ne, dher saari suggestions la kar saamne rakh di..
GAYHOUND
GAYMOVIESDOME
GAYTWINKBOYS
GAYBAREBACK
.
Sandeep chaunk gaya.
wo jaanta tha autocomplete feature kya hoti hai.
Yeh feature wohi web-sites ki suggessions laakar saamne rakh deti hai, jisey iis PC par pehle visit kiya gaya ho.
matlab yeh sab websites..pehle iis PC par kholi gayi hai..
Usney browing history dekhi,
to kal ki history abhi maujud thi.
.
Usney history khol di.
Dekha to bahut saari gay-sites ke naam thhe.
Usne uun sab ka TIME-TAG dekha.
Toh sab web-sites mein agley din ke shaam ko 4 baje ke baad ka waqt tha.
.
.
Yes, kal 4 baje ke baad jab maine fon kiya tha, tab Pramod akela tha office mein. Matlab wo yehi kar raha tha..
OH SHIT -
Sandip ko, 'do aur do chaar' karne mein time nahi laga
.
Khair, abhi yeh sab sochne ka time nahi tha..
usney GAYLORD Hotel ki website par ja kar wahaan se fon nmbr liya
aur dining hall me 2 seats aaj shaam ke liye book karva li.
Aur fir ek raat ke liye ek deluxe-room bhi wahin book karva li.
.
Uski wife Suman se kuchh dino se kuch tanaav sa chal raha tha.
Usne socha aaj ki opportunity best hai.
Aaj usey Grand Dinner ki treat de kar, usi hotel ke kisi delux-room mein romantic raat bitanenge, toh Suman ke sabhi gile-shikwe duur ho jaayenge.
Kaam ke pressure ki wajah se, wo Suman ko jyada time nahi de pa raha tha
aur iis baat ka, usey bhi afsos toh tha.
Par itna kaam kiya, tab ja ke to aaj wo iis position pe hai
varna 3 saal pehle wo iis shahar mein aaya..tab uske paas kya tha.?
.
Lekin iisi wajah se uski personal life ki toh maa chud gayi thi.
aur iisi wajah se Mumbai mein, woh ek bhi close friend nahi bana paya tha.
Jo bhi thhe, wo uske clients ya fir professional dost thhe, jis se wo koi bhi baat khul ke nahi kar pata tha.
Bas koi agar tha is shahar mein, to woh thhe uski bivi suman aur Suman ka bhai Saurav.
.
Saurav bhi to mostly Puna mein hi rehta tha.
hafte das-din mein ek-do din ke liye unke flat par aata-jata tha.
Wo waha apne friend ke saath reh kar PhD kar raha tha.
27-28 ki umar to ho gayi thi uski.
Ab padhaai puri ho jaaye aur shaadi kar le to Suman ko bhi company mil jayegi,
kyu k baad me woh bhi mumbai mein hi, settle hona chahta tha.
.
.
Hotel booking kar ke usne apney kuch pending kaam jaldi hi nipta diye,
toh kuchh kaam Maria ko bhi diye.
Aur fir dinner ka plan batane, apni biwi ko ko usney fon lagaya.
.
.
.
Pramod jab office me enter hua, toh Sandip Sir apni cabin mein thhe.
Shayad kuch kaam me busy thhe.
Maria se pata chala ke wo uske PC par sirf 5-10 mins hi baithe thhe.
Usey kuch relief mili.
Chalo chances to kam hai, ke unko kuch pata chala ho, itne kam waqt mein.
.
Usne apni Gift ka Packet uthaya
aur Sandip Sir ki cabin ki aur chal pada unko birthday ka wish karne.
.
.
Wo fon pe baat kar rahe thhe.
Baat jaldi khatm ho jayegi aisa soch ke, wo wahin cabin mein khada reh gaya.
Saamne ke end pe Sandip-sir ki wife Suman thi.
.
"magar apna toh aaj raat ka plan bana hua tha na..? Sandip ne unchi aawaj me kaha. "ham log aaj Gaylord me dinner ke liye jaanewale thhe. yaad hai na..?"
"-----------"
"no way, tum agar chennai ja rahi ho, toh muje akele nahi jana hotel mein dinner ke liye. Aur, woh bhi CHAAR din ke liye..? u've gone crazy ? listen..muje koi fark nai padega..tum chahe airport se muje birthday wish karne ke liye call karo, ya plane mein se..the fact is..tumhe aaj raat, mere saath hi hona chaiye tha."
"-------------"
"ok then, forget it,, mai akele ja ke apna birthday celebrate karunga, tumhare bina.. sunn rahi ho tum..? I dont care..!
.
.
Sandip ne fon patak diya. aur pichey muda.
Pichhey cabin ke darwaaze ke paas Pramod khada tha..
Usey laga ke ye galat waqt tha, birthday wish karne ka.
toh wo waapas bahar jaana chaha
magar tab tak Sandip ne usey dekh liya tha.
Uske haath mein jo packet tha, wo bhi usne dekh liya tha.
.
.
Koi nayi baat nahi thi.
Pramod pichhley teen saal se uskey waha job pe tha..
aur teen saal se har birthday par wo Sandip ko, koi na koi chhoti si gift deta tha.
.
"Happy birthday Sandip Sir"
"Thank you, jyada kharcha to nahi kiya na.." Sandip ne gift ko dekhte hue kaha.
"No sir, bas 2 neck-tie hi hai." Pramod ne packet dete hue kaha.
"tab theek hai, waise every year gift laane ki kya jarurat hai?"
"bas sir, aise hi. It's my pleasure. Iis bahane mai aap ko meri man-pasand cheezein istemaal karte hue bhi toh dekh sakta hu."
"oh..so kind of you.." Sandip ne gift lete hue kaha.
"waise...i'm sorry sir, ke aap ka birthday ka plan fail hone ja raha hai"
"haan..yeah"
"aur GAYLORD mein dinner.. ? wow !" Pramod ne bolna chalu rakha, "par Suman m'am aa nahi sakti.. how sad !"
"yeah..woh keh rahi thi, uski saheli jo chennai mein hai, wo jyada bimaar ho gayi hai, toh usey jaana padega"
"Ma'am, ek din ruk jaati toh.."
"mai bhi wohi keh raha tha, magar.. anyway, kya ho sakta hai?"
"so sorry, aap akele gaylord mein dinner le lena..ya kisi friend ko call karke bula lijiye"
"haan, dekhta hu..kya ho sakta hai..waise court mein ludhiana ke documents submit kar diye na?"
"yes sir.."
"Ok..ab jara dekho aur muje bataao, ke aur kya kaam pending pada hai.."
"sure sir.."
.
.
Pramod bahar aaya.
Magar usey chein nahi tha.
Usne fir apne PC mein net-browser khol kar browsing history dekhi.
Today and yesterday, dono din ki history delete nahi hui thi.
kal ki history, matlab kal usne iis pc par jo bhi kiya uska leka-jokha,
aur aaj ki history, matlab aaj iis pc par jo bhi sites visit ki gayi uski information.
Usney aaj ki history kholi
dekhte hi chaunk gaya, Pramod..
uska dil dhadak gaya..
uskey tattey, maano ke uske muh me aa gaye..
Aaj wohi sab gay-sites pe visit kiya gaya tha, jo usne kal kholi thi..
aur aaj toh sirf sandip-sir ne hi pc istemaal kiya tha.
.
That means..
that means.. Sandip Sir ne uski kal ki saari harkat ke baare me pata kar liya hai.
OH FUCK..
.
magar, Maria toh keh rahi thi ke woh sirf 10-5 minutes hi baithe thhe yahaan, iis pc par...
toh fir itni jaldi..kaise pata kar liya unhone..?
whatever.. but the fact is, unko pata chal gaya hai.
sara bhaanda fuut chuka hai, ab
Pramod ka gala sukne laga..
chakkar sa aaney laga..
aankho mein aansu ubhar aaye..
Usey rona aa raha tha..
.
Saamne agar Maria na hoti, to definitely woh ro deta..
Kitna humiliating feel kar rha tha woh..
uska boss ab jaan chuka hai, ke woh gay hai..
uske jivan ka top most secret.. ab secret nahi raha.
O God..!
.
.
.
Pramod jaise hi cabin ke bahar nikla ke Sandip ka cel-fon mein sms-tone baj utha
usne dekha ke uske saale Saurav ne msg bheja hai.
Khol kar padha, toh birthday-greetings ka msg tha.
Sandip ne thanx ka reply dena chaha,
magr fir sms karne ke bajaay, usne Saurav ko fon lagaya.
.
usney socha ke thanx kehne ke bahaane, woh usey aaj shaam ko hotel mein dinner ke liye invite karke uski company maang lega, taaki koi toh ho uskey saath, apni birthday ki shaam ko.
Toh Saurav ne kaha -wo mumbai nahi aa payega. Woh toh already Poona se Goa jaane ke liye nikal chuka hai, apni kisi research ke silsile mein.
.
Ab, aur koi personal friend to tha nahi Sandip ka,
jo bhi thhe wo sab professional friends thhe..
Unse saamne se company maangna Sandip ko awkward laga.
At last usney dinner ka plan cancel karne ka decide kiya
Pramod ko hotel booking cancel karne ki instruction dene ke liye, usne inter-com ka receiver uthaya.
.
.
Cabin ke baahar, Pramod ka dil kisi kaam mein nahi lag raha tha.
Usey laga, ke usey ab yeh job chhor hi deni chahiye.
Sandip Sir ka aaj birthday hai, iis liye woh aaj normally pesh aa rahe hai, warna..
.
Kal wo usey kuch puchhe ya kuchh kahe, us'sey pehle hi resignation de dena chaiye.
kya matlab hai ab yaha reh kar, jab ke apni sab pol khul chuki ho.?
ab Sandip-sir uus par kabhi bhi trust nahi karenge..
jab bhi woh akela hoga office mein, toh Sandip sir toh yehi sochenge na, ke woh PC par porns hi dekhta hoga..chaahe kitna bhi woh sincerely kaam kyu na kar raha ho..
apni saari impression ki vaat lag chuki hai..
ab koi faaida nahi yaha reh kar.
.
Tabhi Sandip-sir ke intercom ki ring baji.
'Pramod..'
'yes sir..'
'come inside..'
'yes sir'
.
Jo hoga dekha jayega..-aisa soch kar, woh thoda bold ho gaya
aur apne boss ki cabin mein gaya.... (contd..)
.
No comments:
Post a Comment