Visitors on this Blog

Tuesday, December 4, 2012

HAPPY BIRTHDAY (7)

.
.
Sandeep Sir ke ghar se nikal kar, Pramod jab apne ghar ja rha tha
toh uskey hosh bilkul thikaane nahi the.. 
.
Aaj uskey pyaare Sandip Sir ka BIRTHDAY tha,
magar uskey liye to ek BLAST-DAY tha.
Ek ke baad ek dhamaake ho rahe thhe, jo har baar usey hakka-bakka sa kar jaate thhe.
.
Aaj dopahar jab Pramod office mein pahucha
toh pata chala, ke Sandip Sir, uske jeevan ka sabse bada raaz jaan chuke hai, ke Pramod ek gay banda hai.
Pramod ki toh hava tight ho gayi thi
Ab unn se aankh milana bhi mushkil ho gaya tha.
Tension ke maare, ek baar to usne soch liya, ke kal hi woh resignation de dega. 
Yeh first blast tha. 
TENSION BLAST.
.
Lekin Sandip Sir ne uska gay hona accept kar liya,
itna hi nahi uskey saath sex karne ka indirect invitation bhi diya.
Sandip Sir, jo ke ekdam uski choice ke mard thhe..
uskey saath sex karna matlab, uska teen saal ka sapna pura hona.
Yeh dusra blast tha.
Magar yeh usey be-shumaar khushi dene wala dhamaka tha.
JOY BLAST
.
Magar yeh khushi ki LIfe ekdam Short thi,
ek din ki bhi aayu nahi thi uski.
Sandip Sir ke saath jo maza aaya usey hotel mein uska to koi jawaab nahi.
Aisa mastana aashiq mard tha woh, ke jis ke saath ek raat nahi, saari zindgi basar karna wo pasand karta.
Magr bahut jald hi unki bivi Suman, aur unke saale Saurav ko unke iis gay affair ka pata chal gaya.
Both of them were caught red handed -Kissing..!
5-6 ghande mein hi yeh third blast tha.
SHOCK BLAST
.
Lekin Magr pata nahi kyu,
ein mauke par Saurav ne uun dono ko, Suman ki nazar me zaleel hone se bacha liya.
Usne apni behan Suman ko yeh keh kar convince kiya, ke usne hi uun dono ko aisa nataak kar ke Suman ko surprise deno ko kaha tha.
Just within a few minutes.. yeh fourth blast tha 
SURPRISE BLAST
.
Shiiiit..! What a day it was..!
Full of different blasts..
A Blast-day indeed..!
.
Ab Saurav ka kitna bharosa kiya jaaye, wo Pramod ki samaz me nahi aa raha tha.
Saurav waise to seedha ladka lag raha tha.
Par kya pata..?
.
Saurav Poona mein reh kar, PhD kar raha tha.
Aur 10-15 din mein ek baar Mumbai aata tha..
toh apne Jija Sandip se milne unki office mein frequently aata tha.
Cigarette smoking ki usko aadat thi,
par apne Jeeja Sandip, jo ke us'se sirf 4-5 hi saal bada tha, us'se rishte ka lihaaz karte hue, kabhi uske saamne smoking nahi karta tha. Aur iisliye, jab cigarette ki talab badh jaati
toh Sandip ki cabin se bahr aa kar, Pramod ke paas baith jata,
aur fir, usey ghaseet kar nichey le jata, smoking mein company ke liye. Idhar udhar ki baate kar ke, dono chaai-shaai pi ke upar aa jaate. Waise Pramod ko aadat toh nahi thi,
par shaukiya taur pe kabhi kabhi smoking kar leta tha,
but never in front of Sandeep Sir.
Bas itni pehchaan thi Pramod ki, Saurav se.
.
.
Ghar pahuch kar, bistar par leite leite Pramod yahi sochne laga,
ke ab Saurav ka agla step kya hoga.
Sandeep ka raaz, toh wo jaan chuka hai
toh ab chupchaap toh nahi baithega woh.
Kaash ke aisa ho, ke kal subah hi uun dono ki baat ho jaaye, aur ye masla dono jeeja-saala aapas mein solv karle, aur at least, usey iis beech mein na ghasitey...
yehi sochte sochte uski aankh lag gayi..
.
.
Dusre din Pramod office gaya
toh as expected, Sandip Sir, office mein aaye hi nahi.
Kal raat jo hua, wo hadsa, dono ko mentally distrub karne ke liye kaafi tha.
Toh Sandip-sir ka routin distrub honey ke 100% chances thhe.
.
After lunch, kareeb 2.30 ko Sandip-sir office mein aaye.
"Gud Aftrnn sir," -Pramod ne unko wish kiya.
Wo ekdam normal rehna chahta tha.
.
"Afternoon Pramod, Maria," -unhoney dono ko wish kiya.
"and Maria, pls come in my cabin.. " -keh kar woh sidhey apni cabin mein chale gaye.
.
Maria andar gayi.
10 mins mein wo bahar aa gayi.
Sandip Sir ne usey dinbhar ka kaam samja diya.
Bahar aatey hi wo boli- "Pramod, Sandip Sir wants u inside."
.
Pramod cabin ki aur chal pada.
Usey samaz mein nahi aa raha tha, ke woh kya baat karega. Mann hi mann wo yehi chahta tha, ke by now, sab kuchh clear and settle ho gaya ho Jeeja-saala mein.
.
Andar ja kar, wo Sandip Sir ke saamne-waali chair par baith gaya.
Kuch pal dono ne ek dusro ke saamne nazar tak nahi milayi.
.
"Sir, kal woh jo Ludhiana waale Lalaji ke papers court mein diye, usme..."
"wo sab baate tum Maria ko samja dena."
Sandip ne uski baat kat'te hue kaha.
.
Pramod samaj gaya, ke abhi Sandip Sir official baate karna nahi chahte thhe.
Toh fir..
Usey andar kyo bulaya unhone..?
That means..
that means, ab toh kal waali baat hi karni hogi.
Lekin kya baat karein? kaha se start karein?
Usey kuchh samaz mein nahi aa raha tha..
.
"I hope all was fine last nite at the hotel, sir.. " usne aakhir casually start kiya.
"yes all was fine. Thank god..."
"Sir, Thank Saurav too.."
"yeah, lekin uske iis ajeeb behaviour ki vajah malum nahi padti. Tumhe kya lagta hai ?"
"no idea Sir. I too still wonder about it.."
Pramod samaj gaya ke uun dono k beech, koi baat hui hi nahi abtak.
.
"uski jagah tum hote toh kya karte?"
"matlab ?"
"agar tumhari sister ka husband aisa karta, toh tum kaise pesh aate?"
"sir, generally mai toh kya, koi bhi ladka hota, woh Saurav ke jaise toh kabhi behave na karta. "
"toh kya karte?"
"mai apni sister ka saath dete hue, uske husband se uusi waqt truth extract karvata."
"exactly..even mai bhi wohi karta. Magar ye saurav..seems like an animal of different planet. Aisa lagta hai jaise wo Suman ka bhai, hai hi nahi.."
"What..? ye kaise mumkin.."
"dont panic..mai toh aise hi bol raha hu.."
"oh, magar aaj subah us'sey kuch baat nahi hui..?"
"Nahi, Suman ghar par hi thi. Ham dono ko akela chhora hi nahi, usne. aur waise bhi, wo der tak sota raha... "
"meri toh Sir, akkal hi kaam nahi kar rahi. I wish kal hotel mein ham na gaye hote."
"ok..ok, ab aage ki baat socho, can't help now.."
.
.
tabhi sandip ke cell fon mein ring baji.
Caller ka naam dekhte hi wo bol uthey-
"yeah..think of a devil and here comes the devil..."
"kaun ? saurav hai?"
.
Sandip Sir ne ishare se usey chuup karte hue fon recieve kiya
"Yeah Saurav..tell me"
-????
"ya ya, mai office pahuch chuka hu."
-?????
"yes, wo bhi hai..mere saamne hi baitha hai."
(Apna zikr sunte hi Pramod ki toh aise fatne lagi, as if ke police se koi inquiry nikli ho uske naam ki.)
-????
"yeah..may be within an hour."
-????
"aaj hi ja rahe ho kya, poona? "
-????
"ok.."
-?????
"sure. As u say. magar kahaan?"
-?????
"ok. yeah. ok."
.
Sandip ne fon rakh diya.
Pramod uski taraf sawaaliya nazar se dekhta raha.
.
"Wo aaj shaam ki bus se hi Poona ja raha hai..magar us'sey pehle..He wants us both, to meet him."
"ab mera kya kaam hai..?"
Pramod ko toh ab, sach mein ab rona aa raha tha. woh toh duur rehna chahta tha iin sab se, aur woh jaanta tha ke kabhi na kabhi yeh ghadi aane waali hi hai..lekin jab aa gayi to kaafi nervous hone laga woh.
.
"dekh pramod, jo bhi hoga ab, ham dono ko saath mein hi FACE karna padega."
"magar ye toh aap ke ghar ki baat hai, toh fir.."
"try to understand, tum bhi toh isme fully involved ho."
"o..o..ok, ok sir, kahaan aur kab milna hai? Pramod jaanta tha ke fully involved honey ka keh kar Sandip ne usey kitna bada taunting kiya hai, toh woh bina koi behas kiye agree ho gaya, Saurav se milne ko.
"Dadar mein Pritam hotel. Usi ke aas-paas se usey bus milegi Poona janey ke liye. 6 baje ki bus mein jana chahta hai..toh 4.30 and 5 ke beech wo milna chahta hai. We'll start from here at 3.30 or so. Abhi kitne..? 3 toh baj chuke hai.. chaai-shaai pee lo tab tak. Ek chaai andar muje bhi bhej dena. Ok?"
"ok sir." -Woh samaj gaya ke ab usey bahar nikal jana chahiye..shayad Sandip sir akele mein kuch preparation karna chahte ho..apne bachaav ke liye.
.
Pramod bahar aa gaya. Maria ko kehkar 3 chaai mangvaai.
Maria chupchaap kaam kar rhi thi.
Magar uska dil fir se soch mein duub gaya.
Usey toh ab yehi lag raha tha, ke wo ab puri tarah fans chuka hai.
Saurav chahta toh apne jeeja se akele mil kar yeh masla solve kar sakta tha.
Lekin....
.
aakhir Saurav kya chahta hai us'sey..?
Sandip Sir ke saath usey bhi q bula raha hai..?
kuch writing mein dena padega kya..?
OH SHIT..!
kya wo written confession lega ke -I am a gay guy..?
aur fir usey blackmail karna shuru kiya toh ?
woh toh ye naukri chhor ke dusri dhundhne ka soch raha tha.
Ab uske naye boss ko Saurav ne uska yeh confession padhva diya toh..?
bahenchod... kya hone ko ja raha hai..!
.
aur..
aur Sandip sir ek baar bhi nahi boley ke -Pramod ka kuchh kaam nahi hai. Itna toh woh keh sakte the.. ya fir nahi keh sakte thhe..?
shayad wo bhi uski tarah hi darr gaye hai..
.
Tab tak chaai aa gayi.
Chaai pitey pitey wo fir sochne laga..
par koi raasta nazar nahi aa raha tha.
.
Aakhir 3.30 ko Sandip Sir bahar aa gaye aur bole
"Maria mai aur Pramod ek meeting mein ja rahe hai, Aap apna kaam niptakar chali jana ghar.. C'mon Pramod.. let's move."
.
Aur dono Sandip sir ki car mein chal padey.
Pramod Sandip Sir ki ekdam bagal mein baitha tha.
Steering wheel par unki chaudi, bhari-bhari wrist, aur full sleev se bahar jaankte hue wrist par ke woh baal.. unki bhari bhari motee janghey,
aur dono jangho ke beech mein unka ubhra hua basket..!
is'se pehle toh ye sab kitna jaadu karte the uus par,
magar aaj..
wo sab jaise ke, uski maut ka saamaan lagte thhe, usey.
Raaste bhar mein koi kuch bol nahi raha tha.
.
Hotel pahuche
toh Saurav already waha pahuch chuka tha..
Duur ek corner ke table pe baitha wo
aur uun dono ko aata dekh raha tha.
.
"Hi Jeeju, hello Pramod..!"
"Hello," -Pramod ne halke soor mein apna sar hilaya.
Dono Saurav ke saamne aur ek duje ke agal-bagal mein baith gaye.
.
"Traffic toh nahi mili jyada..?" -Saurav ekdam normal laga dono ko.
"nahi, abhi afternoon mein thodi relief thi" -Sandip ne casually reply diya.
"Bahut garmi hai..how about some cold coffee ?"
"yeah, will do." -Sandip ne Pramod ko puchhey bina hi haami bhar di.
Waiter ko bula ke usne 3 cold cofee ka order diya.
"kitney baje ki bus hai tumhari..?" Sandip ne apni casual talks jaari rakhi.
"6 bajey ki. Mere paas ek-dedh ghante ka time tha, toh socha aap se kuchh gapshap kar lu."
"hmm..hmm."
"pehle socha, aapki office mein aa jaau, magar fir socha wahaa aap ke fon-calls, clients, aapka staff etc.. aur baat kuchh aisi hai ke.."
"u r right." -Sandip ab ko laga, ke Saurav really serious mood mein hai.
.
Tabhi Saurav ka fon baj utha..
"dekha..? isko kehte hai disturbance." -Itna kehkar usne apna fon uthaya.
Ek nazar caller par daali
aur apna fon switch off kar diya.
.
"ye kya ? Fon bandh kar diya..?" -Sandip ne puchha.
"yeah, No more interruption now."  Saurav muskura kar bola.
.
Uska ishara samazkar, Sandip ne bhi apna fon switch off kar diya.
Tab tak Cold cofee aa gayi.
Ab waiter, yaha jhankne tak nahi aaney wala tha.
.
"Jeeju," -Saurav ne aakhir baat chhed hi di.- "Kal raat jo kuch maine aur didi ne dekha, uske baad, aapki wife ka bhai hone ke naate, mera yeh haqq banta hai, ke aapse kuch sawaalat karu..I hope u agree to it."                  (contd..)
.
===========================

No comments:

Post a Comment