.
.
"Jeeju," -Saurav ne aakhir baat chhed hi di- "Kal raat jo kuch maine aur didi ne dekha, uske baad, aapki wife ka bhai hone ke naate, mera yeh haqq banta hai ke aapse kuch sawaalat karu..I hope u agree to it."
.
"Indeed, I agree to it. Aur mai bhi toh tumse khul kar baat karna chahunga.."
.
"Sure..???"
.
"Yeah Saurav. Dekho rishte mein tum mere saale ho. Lekin jabse tum Delhi se yaha shift hue ho, tab se maine tumhe ek chhote bhai ki tarah hi maana hai. I hope you too agree to it.." -Sandeep ne uusi ke sawaal dohraaya.
.
"Yeah jeeju. I did feel your intimacy."
.
" Lekin kal raat jo hua, aur jo hone ja raha tha, magr tumne usey jis tarah, usey hone se roka, wo kaam koi saala, ya chhota bhai kabhi nahi karta. Agar koi kar sakta hai, toh wo hai ek sachha dost. Kalse mai tumhe apne saale ya apne chhote bhai se zyaada ek dost samjane laga hu, aur ek dost ki tarh hi tumse khul kar baat karna chahunga."
.
"Better.. Dat's so kind of u." -Saurav muskuraya- "So tell me Jeeju," -usne baat aagey badhayi- "since how long u r a gay..? I mean.. I mean since when did u get interested in guys ?
.
"Well, meri yeh tendency school ke zamaane se hi rahi hogi. Uus waqt, by way of curiousity, kuch encounters hue bhi thhe..Fir law college ki hostel mein, yeh baat aur aage badhi. And I confess, during those days a few serious affairs bhi hue thhe. Lekin kabhi bhi muje yeh nahi laga ke mai 'waisa' hu. Jab bhi mai aaine ke saamne khada rehta tha, toh mera yeh badan dekh kar mera dimaag mujse keh uth'ta -no. u r not a sissy boy. Look at yourself. u r such a macho-man, tum kabhi 'woh' nahi ho skte. Apne aap ko samhal lo. Control your self..
Aur fir, padhaai khatm hote hi gharwaale Suman ka rishta le kar aaye, toh mera dimaag bol utha -yes, u are a normal guy, so act normal. yehi waqt hai samhal jaane ka.
And besides, I was confident, ke i was capable of consuming my marital rights.
Toh baaki sab bhula kar, I agreed to get married to her."
.
"hmm..hmmm.. carry on Jeeju" -Saurav coffee ki sip lete hue bola.
Pramod bhi apne Sandip-sir ka haal-e-dil dhyan se suunta raha.
.
"shaadi ke baad, I presume, Suman ko maine full satisfaction diya hai. Aur sab kuch kaafi normal chal raha tha. Magr kal.."
.
"normal..? u mean iis shaadi se aap bilkul satisfied thhe..?"
.
"well, to be honest, at least Suman ko koi shikayat nahi thi, magr mere dil ko toh jaroor kuch complains thi.
Lekin jab kabhi akele mein, mera dil apni complain le kar aata, toh mera dimaag, mere dil ko hans kar daba deta. Wo kehta -Look at yourself, ek khubsurat aur loving wife hai tumhare paas, achhi career hai, paisa hai, kal ko bachcha ho jayega..well settled family bann jayegi. Aur kya chaiye tuje..? Q aur koi confusion paida karni hai tuje..
lekin jab kabhi bhi Suman meri mardana feelings ko, ek biwi ki tarh hi leti, aur na ke ek dost, ek mard, ki tarah, toh fir mera dil apni complain le kar fir aa pahuchta. u see..?
Lekin kal tak maine apne dil ki complain ko consider nahi kiya tha."
.
"Kal tak? u mean aapka aur Pramod ka ye 'chakkar' kal se start hua? arey, woh toh aap ki office mein 3 saalo se hai. kitni baar aap dono ko full privacy mili hogi..and u say i shud belive this..?"
.
"Yes Saurav, u'll have to believe Sandip Sir," -abhi tak chup-chap baitha Pramod, bol pada aur bhi kuch excite ho kar, thoda zor se- "Now..now let me tell u. Listen...to be very frank, I am a gay, and from the very first day, jab se maine yaha job join kari hai tabse, jitna mai Sandip Sir ke nature and professinal ability ko admire karta hu, utna hi unki handsome and manly personality se attract hota aaya hu."
.
"Relax. Relax Pramod" Sandip ne Saurav ki presence ki parvaah kiye bina hi, Pramod ke haath ko apni mutthi mein dabakar usey rokna chaha.
Pramod apna haath chhuda kar bolna chaha, magar Sandip zor se uska haath pakde raha.
Saurav uun dono ke haatho ki khincha-taani dekhta raha.
.
"Ok Pramod, so ?" Saurav ne ab Pramod se puchha..
"Aur khuda-gawah hai ke itni attraction ke bavajood, maine itne mahino mein, kabhi yeh baat unse kisi tarah jataayi nahi, aur na hi kabhi jatata. Kyu k, first of all, wo itne macho-manly person hai, ke pata nahi kaise re-act kar de.
Dusra yeh, ke woh mere boss hai aur law-degree haansil kar ke, unhi ke under reh kar, muje apni career banani hai. toh isiliye unse professional distance bhi banaaye rakhna chahta tha.
And lastly, he is married guy..a happily married guy.
Inhi sab wajah se, mai ne kabhi bhi unko approach nahi kiya tha.
Lekin yeh sab jo hua, wo meri ek galti ki wajah se hua.
Parso office mein gay-porn dekhne ke baad, mai apni browing history delete nahi kar paya tha, iisliye Sandip Sir ko kal hi pata chala, ke his assistant is a gay guy."
.
"Aur agar, koi aur din hota" -Sandeep ne Pramod ka haath chhor kar uus ki baat aagey chalayi- "toh pata nahi mai kaise react karta, Pramod ki yeh sachchai jaan kar.
Magr kal suman ne jo kiya... us'se muje laga, ke Suman muje ditch kar rahi hai, -mai uski itni parwaah karta hu, magr usey..
khair toh mera dil, fir woh apni puraani complain le kar mere saamne aa gaya, but this time, ek proposal bhi thi uske paas, woh yeh -ke your wife isn't caring for u, and she is not even present for some nights, aur tumhara yeh handsome assistant, tumhare taste ka hai, toh kyo na kuch try kiya jaaye?
Aur abki baar..mere dimaag ne bhi mere dil ki baat maan hi li.
I hope i'm quite clear to you, and believe me..I'm quite honest too."
.
"yeah. I dont see any point in not believing you." -Saurav ekdam normal tone mein bola.
.
Apni sab baat kehkar, Sandip thoda halka ho gaya.
Woh jaanta tha, ke usne jo bhi kaha, wo puri imaandari ke saath kaha hai,
iisliye ab jo bhi hoga, wo apna nasib samjkar usey accept karna hai. iisliye ab woh thoda relieved aur bold ho chuka tha.
.
.
.
Aur fir..
jab uski baat puri ho jaane par, do teen pal tak koi kuch nahi bola,
toh usne fir se baat shuru ki.
.
"Saurav, tumhe jo jaan'na tha, wo mai tumhe bata chuka hu. Ab kya tum meri ulzan solve karoge..?"
"Kya..?"
"Saurav, -Sandip ne kaha- "dekho Suman ka bhai hone ke naate, kal raat agar tum usko support karte, toh wo quite natural hota. Muje koi complain na hoti. Magr tumne Suman ka saath dene ke badle, muje cover kiya, dat's quite confusing and abnormal. What do u say? "
.
Saurav ek pal dono ko dekha,
fir apne dono paav faila kar, kursi mein thoda niche sarak ke, relax hokar baith gaya aur bola-
"toh Jeeju, now let mein tel u, ke maine aap ka saath kyo diya. Aap dono ko cover kyo kiya. uski ek hi wajah hai.."
.
"Savrav", -Sandip ne kabse apne dil mein khelte sawal ko pesh kiya- "by any chance, u too are a.. ?"
.
Suunkar Saurav muskuraya.
"Well, no.. I'm not a gay.."
.
"Oh, -Sandip kuch bol nahi paya- "toh fir.. kal raat tumne jo mera saath diya..."
Sandip aage kuch puchh nahi paya..
wo kaafi confused jo tha.. (contd..)
.
================================
No comments:
Post a Comment