Visitors on this Blog

Thursday, November 15, 2012

Kabhi Socha Na Tha (4)

.
.
Bathroom se aatey hi bhaiya bole- Vikram aaya tha yahan?
.
Chintu chounk gaya,
Voh kya suun raha tha?
bhaiya aur kisi ka nahi, bass, sirf Vikram ka hi kyo puchh rahe thhe?
Unhey kaise doubt hua, k Vikram aaya tha. 
Paas-pados k ghar toh bandh hai..
bagalwaali Chaurasia family toh gaav gayi hai
aur iis-side wale ghar mein toh koi rehta hi nai
saamne wale Mehta uncle toh hospital mein hai, teen roz se aur
toh kaun bataya hoga unhe?
.
Voh haraami paanwala bataya hoga?
haan,
yes, uusi ki dukaan pe toh Vikram khada ho k cigeratte pitey pitey wait kar raha tha, jab woh college se ghar aaya tab.
Yes, Uusi madarchod ne bataya hoga.
abhi teen din pehle, uski kharaab, sadi hui chaai-patti, uski dukaan pe jab lautaane gaya tha aur paise waapas maange,
toh kaise nautanki karne laga tha saala, haramzaada..!
Uus waqt, uus ko ma-behn ki suna k aaya tha,
uusi baat ka badla le raha hai, wo haraamkhor.
.
Ek minute, ek minute..
wait..
abhi abhi bhaiya toilet mein bhi toh gaye thhe.. 
aur is’se pehle Vikram bhi toilet gaya tha.
Kahi waha par, uus chutiye ne aisi koi cheez toh nahi chhori thi,
jis’se uuske yahan aaney ka andaaza lagaya jaaye?
jo bhi ho, ab phans gaya hoon, toh inkaar karne ka phaaida nahi –Chintu ne socha.
.
"Vikram aaya tha yahaan? "–Bhaiya ne phir puchha.
"Haan" –Chintu iis’se jyada kuchh bol nahi paaya.
.
"aur paise..?" -ek minute chuup reh k bhaiya phir boley- "paise diye na usne..?"
ab yeh suunkar Chintu k toh haath paanv kaapmne lage...
kya puchh rahey hai bhaiya?
.
apne dost k aaney k baarey mein puchhey, wahan tak toh theek hai.
unki absence mein unka koi dost yahaan aaye,
iis baat se uun k dil mein aisa-waisa doubt aaney ki possibility kam hai.
aur iisi liye, sirf uske aaney ki toh woh kuchh bhi wajah bataa sakta tha.
par unhey toh paise ki len-den ka bhi doubt hai.
Ab yeh toh andar ki baat hai.
Yeh baat toh woh paanwala, kabhi nahi jaan sakta tha..
toh fir..kaun? Vikram bataaya hoga? 
par voh kyun bataayega ?
iis’se toh uski khudki bhi pol khul jayeegi.
.
Bhadwaa Saala, khud toh phansa, saath mein muje bhi le dooba..Chutiye ka Chouka..!
ab toh khuub pitaai hogi..
Chintu ne socha. -ab paiso ka inkaar karne ka sawaal hi nahi hai.
.
"hmmm, ji haan" –Chintu ek pal k baad bola.
Aur apni nazar nichey jhuka li.
.
bhaiya uski taraf kabse dekh rahe thhe.
"kitne de kar gaya.? teen hazaar.?" –bhaiya ne pucchna jaar rakha.
.
khallaaas...!
Chintu ko toh kaato toh khoon bhi na nikle,
aisi haalat ho gayi.
pasine pasine ho gaya woh.
ab toh yeh tay tha, k bhaiya ko sab kuch maluum hai.
teen baar usne gaand marwaai hai Vikram se, yeh bhi..
.
woh toh bas bhaiya ki thappad ka hi wait kar raha tha.
uska ka ek haath, apne aap apne gaal par chala gaya..
upar dekhne ki, usme himmat hi nahi thi.
aisa lagta tha, maano lakwa maar gaya ho.
.
"hmmm.." –Chintu ne phir uusi dhile-dhaale lehze mein jawaab diya.
aagey kya hoga wohi sochta raha ho.
.
"laa, de de mujey.." –bhaiya bole.
.
Chintu ne bistar k nichey se paise nikaale, aur bhaiya ko de diye.
hazaar hazaar ki 3 note..
uski pehli kamaai..
uski haath se yuun nikal gayi, jaise mutthi mein se ret
.
bhaiya ne paise apni zebme rakhey, aur khaana khaane lage.
arey saala... yeh kya..? ho kya raha hai, yeh? –Chintu ne socha.
.
bhaiya ka aisa behaviour, uski samaz mein nahi aa raha tha.
sab kuchh maalum hotey hue bhi, voh kyon kuchh nahi boley?
na maara, na peeta,
chup-chaap khaana khaa rahey hai. 
aur haan, paise bhi le liye mujh se..
kya.. baat kya hai?
kahin bhaiya meri bhadwagiri toh nahi kar rahey? 
mujse dhanda karwa k, meri kamaai toh khaane ka nahi soch rahe, voh?
kya iisi liye muje gaanv se shehar bulaya hai unhone..?
shiiit..!
bhaiyya ki umar bhi utni hi hai, 26-27 saal ki.
jitna ke Vikram bhi hai..
dono dost hai.
toh kya aisi bhi kuch arrangement hogi, dono ke beech mein
.
nahi nahi itne girey huye toh nahi ho sakte, woh..!
toh phir, kya baat hai?
.
Chintu ko kuchh samaz mein nahi aa raha tha.
par..
par, kuchh puchh bhi toh nahi sakta woh, jab tak bhaiya apne aap kuchh nahi batate.
.
"arey, paani nahi diya kya? jaa paani leke aa" –bhaiya bole.
Chintu andar kitchen se paani le ke aaya.
.
.
.
"Kuchh bhi bol, lekin Vikram apni baat ka pakka hai." –Bhaiya paani pitey pitey bole.
"kaun si baat ?" –Chintu ne puchha.
uus bechaare ko toh, sab kuchh bumper ja raha tha.

"koi bhi baat. ab aaj ki hi baat le lo."
"main samza nahi" –Chintu aahista se bola.
"arey aaj subah subah 10 baje ke pehle hi woh hamaari dukaan pe aaya tha.."
"kaun ? Vikram ?"
"haan haan, uski hi toh baat kar rahey hai, ham"
"kyon ?" –Chintu ne jaan’na chaaha.
"dukaan pe aatey hi, voh mujse kehne laga, k -aaj Wednesday hai, chhutti hai, toh kuchh shopping karne k liye iis taraf aaya tha, par paise kam padd gaye. Bank bhi aaj bandh hai. aur yahaan ki ATM bhi kharaab ho gayi hai. tab khayaal aaya, k tumhari dukaan bhi iisi area mein hai, toh yahaan chala aaya.
Ab subah subah, dhande ki boni bhi nahi huee ho, aur dukaan kholte hi koi paise maange toh kaisa lagta hai? 
Maine toh keh diya k -paise toh iis waqt nahi hai.
Toh voh bola -kaise bhi kar k thode se bhi de do. waise toh 5000 chaahiye the, par chalo 3000 hi de do.
Maine kaha – kab lautaoge? aaj kal haath bahut tight hai. 
toh bolne laga- fikr mat karo. mere ghar par paise padey hi hai. shopping kar ke, ATM jaaunga, agar machine theek ho gayee hogi, toh wahan se paise nikaal k dopahar tak tumhaare ghar pe, Chintu k haath mein pahucha dunga, warna ghar se paise le ke, raat tak de dunga.
Aur dekho.. sachmuch dopahar mein hi, woh paise lauta gaya, ATM machine theek ho gayi hogi toh raat tak wait bhi nahi karwaaya. 
Issi liye keh raha hu.. k Vikram apni baat ka pakka hai."
.
itna sab kuchh bhaiya bol gaye..
Chintu unki taraf dekhta hi raha..
uska toh dimaag hi nahi chal raha tha.
.
woh sochne laga -uus ma ke laude ne sach-much, kya dimaag chalaaya hai..
mere hi bhai ke paise se muje kharida..
yaani ke, mere hi thook se, meri maar gaya, woh..
Sach, kya chutiya banaya hai…
ma ki chuuut..aisa bhi ho sakta hai, kabhi socha na tha..
sachmuuch..
KABHI SOCHA NA THA..!        
.
.
========================================

No comments:

Post a Comment